Apne hi ghar mein hotel ki tarah rehna sikhaya
Ek pair hostel mein toh dusra train mein rakhke chalna sikhaya
Rail gadiyon ko apna dusra ghar banwaya
Eurail ki kimat se sau dafa zyada vasool karwaya
Ek hi mahine mein usko do hisse mein batwaya
College ke zero attendance ka sau pratishat upyog karwaya
Europe ne humse kya kya karwaya!
Ek pair hostel mein toh dusra train mein rakhke chalna sikhaya
Rail gadiyon ko apna dusra ghar banwaya
Eurail ki kimat se sau dafa zyada vasool karwaya
Ek hi mahine mein usko do hisse mein batwaya
College ke zero attendance ka sau pratishat upyog karwaya
Europe ne humse kya kya karwaya!
Gujju hone ka pehli baar asli ehsaas karvaya
Grocery shopping ke liye Belgium se Germany jane pe majboor kiya
Coke ki kimat se PPP ka andaza lagwaya
Snickers aur Twix se pet bharwaya
Scandi mein lutero se bhi lutna sikhaya
Lidl aur Adle ki khoj mein raah-raah bhatkaya
Daru se bhi mehenga pani dilwaya
Europe ne humse kya kya karwaya!
Ek shaher se dusre shaher mein antar karna bhulaya
Town hall, castle, bridge aur cathedral mein kabhi na jane ka pran dilwaya
Chala chala ke juton ke taliye ghiswaye
Starbucks aur McD ke wifi ke liye naya pyar jagaya
Facebook se badhkar google maps ka istemaal karwaya
Europe ne humse kya kya karwaya!
Itni samanta mein bhi har ek shahar ki ek anokhi pehchaan karvayi
Apne itihaas, kalakaari, pakwaan aur bhasha se dil ko lubhaya
Inki takniki vikas aur jivanstar ne ascharyachakit kiya
Anjaan logon ki bewajah parwaah pe sharminda karwaya
Kuch naye dost aur unki dosti ka pyara anubhav karvaya
Europe ne humse bahut kuch karwaya!
Rail ke lambe safar mein hamein bhi kavi ban ne par majboor kiya
Europe ne humse kya kya karwaya!
Fascinatingly true.
ReplyDelete:) Thanks!
ReplyDelete